Friday, April 2, 2010

Ghazal

Iska malaal kya ke koi apna na hua,
rishta hai dil ka pyare,hua,hua,na hua.
badi ajeeb si hai yeh qurbaton ki doori bhi,
main uske saath raha,magar woh mera na hua.
ro padta hoon usko dekhkar,aksar main yaaro,
woh ik makaan mera jo kabhi ghar na hua.
aakhir ghabra kar duniya ke dardo-gham se "Bismil",
humne kai baar chaha mar jayein,magar na hua.